Mohabbat rog hoti hai kaha bhi tha,
rula kar khud bhi roti hai kaha bhi tha,
Kinarae ke bohat nazdeek le jakar,
ye kashti ko duboti hai kaha bhi tha,
Aise tum dil ki dharti ka pata mat do,
ye is mein dard boti hai kaha bhi tah,
Luta kar dil ko rone se bhi kya hasil,
Bohat na'yab moti hai kaha bhi tha,
Azal se iski fitrat hai zmanae ko,
jaga kar aap soti hai kaha bhi tha,
Ye sar se paoun tak bus raakh ker degi,
Bohat bedard hoti hai kaha bhi tha..................
0 comments:
Post a Comment