Dil to unke seene mein bhi machalta hoga

Zuban khamosh, ankhon me nami hogi,

Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,

Bharne ko to har zakham bhar jayega,

Kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.

Dil to unke seene mein bhi machalta hoga..

Husn bhi so-so rang badalta hoga..

Uthti hongi jab nagahein unki..

Khud "khuda" bhi gir-gir ke sambhalta hoga..

Hum na hote to aapko gazal kaun kehta,

Apke chehre ko gulab kaun kehta,

Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka

Warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.

Kadam kadam pe baharon NE saath chhoda,

Zaroorat padne par yaaron NE saath chhoda,

Vaada kiya sitaron NE saath dene ka,

Subah hone par sitaron NE bhi saath chhoda.

Bahut dur magar bahut paas rehte ho,

Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,

Mujhe bas itna Bata do kya

Tum bhi mere bina udaas rehte ho?

0 comments:

Post a Comment